AdSense test ad

Motivation Story-Hindi


Motivation Story-Hindi


Ek baar ek ladka zindagi se bahut pareshan...
Guruji ke paas jata hai...
Aur bolta hai, Guruji me bahut jyada pareshan hun...
Mujhe Paiso Ki zaroorat Hai...

Me chahata hun ki mere mata pita bahut khush rahe aur puri duniya ghume...
Lekin yeh sab chiz jo bol raha hun...
woh bina paiso ke possible nahi ho sakta...
Iske liye mere paas bahut saare paise hone chahiye...

Guruji ne us ladke ko kaha...
Mere sath chalo...
Aur usse guruji ek aisi jagah le gaye jaha bahut saare kankar pade the...
Aur us ladke se kaha ki itne sare kankad me se koi ek aisi kankar hai...
Jo har mattel ko har dhatu ko sone ( Gold ) me badal sakti hai...
Woh kankar jis par rakhoge woh sone ka ho jayega...
Aur us kankar ki pehchan hogi uske tapman se...
Yeh sab kankar chuh kar mehsoos karoge to thande lagenge...
Lekin gold me badal dene wali kankar garam mehsoos hogi...
Fir tum apni zindagi me chaho utne paise kama sakte ho...
Agar tumhe woh kankar mil gai..

Woh ladka bahut jyada khush hua...
Usne dekha ki yeh to kewal kuch hi mahino ki to baat hai...
Mujhe roz ke kewal kuch hi ghante isme dene hai...
Par woh ladka nahi janta tha...
Ki woh task jis guruji ne diya hai woh unhone soch samajh kar diya hai...
Agar itna aasan hota to baat hi kya thi...

Ladka lag gaya usme...
Usne woh saare kankar jo ek taraf padi thi...
Usse hath me lekar mehsoos karke...
Jo kankar thandi mehsoos hoti...
Usse samundar me fek deta...
Kyun ki agar woh samundra na feke...
To wahi kankar fir se ussi me mil jayegi...
Mahino tak usse yeh karna tha...
To kahi kuch kankar usme na mil jaye...
Isliye jo kankar thandi hoti...
Usse samundar me feke ja raha tha...

Ek din nikla 5 6 ghante diye usne...
Sab kankar thandi mehsoos ho rahe the...

Dusra din nikla...
Teesra din nikla...

Ek hafte nikle...
Do hafte nikle...

Ek mahina...
Aise karte karte...
3 mahine aur fir 4 mahine ho gaye...
Lekin ab tak us ladke ko...
woh garam kankar nahi mili...
Usme se sab kankar thandi mehsoos ho rahi thi...

Ab ladke ki speed badh chuki thi...
Lekin ek chiz hai jo woh bhul raha tha...
Uska vishwas tha ki ki woh kankar milegi zaroor...
Lekin dheere dheere kankar ko dhyan se parakhna kam karta ja raha tha...
To ab woh utna bariki se nahi parakh raha tha...
Jitna woh shuru ke 3 kankar ko parkhe the...
Dusri taraf se yeh bhi keh sakte hai...
Ki unke dimag ki aisi condition ho gai thi...
Ki ab uski habit ho gai thi...
Fatafat se kankar ko lekar usse samundar me fekne ki...

Itni mehnat ke baad...
Pachwaye mahine ke kuch hi din me...
Us ladke ko woh kankar mil gai...
Aur jaise hi woh kankar hath me aai...
Woh usse garam to mehsoos hui...
Lekin kyun ki uski jaldi se har kankar ko samundar me fekne ki habit ban chuki thi...
To usne us garam kankar ko bhi fek diya...

Aur fekne ke just ek do second baad...
Usse realize hua...
Usse pachtawa hua...
Woh ab us samundar se kankar nikal nahi sakta jo usne fek di thi...
Kyun ki uski habit ban chuki thi...
Har kankar ko dekh kar jaldi fekne ki...
Lekin fekne ke baad hi usko ehsaas hota hai...
Ki mujhe pata hote hue bhi mene woh chord diya...

Motivation Story-Hindi

Motivation Story-Hindi Jankari:-

To is kahani se hum kya sikh sakte hai aisa kya sikh sakte hai jisse hamari puri zindagi badal sakti hai aise kya sikh sakte hai jisse hamari soch me badlav aa sakta hai aur badlav ayega to hamari zindagi bhi badal sakti hai.

Jis waqt aap ne apne har din ko halke me lena shuru kar diya dheere dheere halke me lena aap ki habit ban jayegi aur jab koi bada opportunity wala din hoga usse bhi is habit ke according usse bhi galti se halke me le loge fir baad me pachtawa hoga.

Jab pata lagega ki woh to normal day ki tarah nahi tha us din mere paas bahut bada moka tha jisse mene gawa diya kyun ki roz me har din ko halka manta tha to jab din halka nahi to usko bhi mene halka maan liya.

Aap ki zindagi me woh garam kankar opportunity hai ek awsar hai ek moka hai aur yeh sab kankar din hai ek naya din hai har ek kankar naya din hai woh garam kankar kab aap ke hath me aayega yeh aap kabhi nahi jante lekin aap ko bahut dhyan se har kankar ko parakhna hai yani har din se kuch na kuch sikhna hai har nukhs se sikhna hai har situation se sikhna hai har insaan se aur har choti moti chiz se sikhna hai achanak kab aap ke hath me woh garam kankar aa jaye jo aap ki puri zindagi badal dega jo aap ki zindagi ko sone ki bana dega yeh aap ke hath me kab aa jaye aap nahi jante.

Aaj nahi to kal lekin jab woh kankar aap ke hath me aa gaya woh aap ki zindagi ki har chiz ko sone me badal dega zindagi ke har pal ko is tarah se dekho is tarah se jiyo is tarah se usme mehnat karo jaise ki woh kankar hai jo ki har chiz ko sone me badal sakta hai.

I believe ki is Motivation Story se aap ne kuch sikha hoga agar kuch sikha hai ya aap ko kuch motive mila hai to niche diye hue comment box me comment karke zaroor bataye.

Isi ke sath alwida leta hun fir milenge next topic par.

Shabba Khair. 

Post a Comment

0 Comments