AdSense test ad

बुद्धिमान लोगो की सात आदत | Seven Habits of Intelligent People | Hindi


Hello Friends 
Swagat Hai Sabhi Ka Ek Baar Fir Hamare Knowledge Talks Official Blog Me.


Seven Habits of Intelligent People


Dosto modern science aisi aadato wale logo ko unexpected maan raha hai jis par bharosa karna jara mushkil hai. Vese is baat me koi do raahe nahi hai ki intelligent log dusre sathiyo se alag hote hai lekin kya inme itna fark hota hai.

To Aaiye Jante Hai Kya Hai Woh Ajeeb Seven Habits of Intelligent People ( Budhimaan Logo Ki Saat Aadate ) Jo Modern Science Apne Modern Tarike Se Batati Hai :-

Intelligent Logo Ki First Habit :-
Laziness.

Aalsi hona. America ke ek research me daawa kya gaya hai ki woh log jyada intelligent hote hai jo apne khayalo me khoye rehte hai aur physically sust aur kam active hote hai.

To agar aap lazy ho to aap apni is aadat ko intelligents ke sath jord sakte ho. But iska matlab ye nahi hai ki aap din bhar TV dekhte hue pade raho kyun ki yeh bewakoofo ka kaam hai.

Sust intelligent log kaam karne ka asaan tarika dhoond lete hai isliye to bill gates ne kaha hai ki me mushkil kaam me ek aalsi insaan ko deta hun kyun ki woh aalsi insaan us mushkil kaam ko karne ka asaan rasta dhoond leta hai.

Intelligent Logo Ki Second Habit :-
Forgetfulness.

Bhullakad  hona. Vese to achi memory ko intelligents ki nisani samjha jata hai lekin recent research me bataya gaya hai ki jo log bhullakad hote hai un me bhi intelligents kafi hoti hai research ke anusar aise logo ka dimg isliye choti moti chizo ko bhul jata hai taki choti aur unimportant chizo ki details apne dimag se nikal ka new ideas dimag me rakh sake.

To next time jab apni chabiya rakh kar bhul jao to frustrated hone ki zaroorat nahi hai balki aap ye soch kar khush ho sakte ho ki aap ke dimag me new ideas ke liye jagah ban gai hai wahhh kya research hai.

Intelligents Logo Ki Third Habit :-
Abusive Words.

Abusing words use karna. Abusive word bolna sirf jyada intelligents ki nisani mani jati hai kam se kam kuch research report me yahi baat samne aai hai ki kaise logo ki vocabulary dusre logo ke mukable jyada hoti hai yani ki ye verbal intelligence hote hai.

Iska matlab ye nahi hai ki jao aur galiya dena start kar do Steve Jobs ko to aap jante ho mostly logo ne great visionary ke roop me jante hai jo ki woh of course the lekin unki personality ka ek or side hai woh bahut galiya dete the apni is aadat ki wajah se bahut badnaam bhi  the specially employs aur apne partners se.

Isse Bhi Padhe : लोगो की सुबह की 4 ऐसी आदतें जो उन्हें असफल बनाती है

Intelligents Logo Ki Fourth Habit :-
They Trust.

Logo Par Bharosa Karna. Akalmand insan mostly dusro par asani se bharosa nahi karte aisa maana jata hai.

Lekin Scientist kehte hai ki intelligent log asal me jyada bharosa karte hai iski wajah ye hai ki woh life ko batter way me dekhne ka hunar rakhte hai aur woh insaan ko jaldi pehchan jate hai jabki average log confuse rehte hai ki kis par bharosa karna hai kis par nahi karna hai.

Intelligent logo ki Fifth Habit :-
Cat Lover.

Ye log billi palte hai. Agar aap ke pass billi hai to aap khush ho sakte hai ki aap intelligent ho kyun ki ek research kehti hai ki ek report ke anusar jo log billi palna pasand karte hai woh kutte palne walo ke mukable kafi shant hote hai sensitive hote hai aur unka IQ level bhi kafi high hota hai.

Intelligent Logo Ki Sixth Habit :-
Night Owl.

Late night jagna. Kya aap ko late night jagna pasand hai ye intelligent hone ka sign ho sakta hai scientific research kehti hai ki jo log late night jagte hai unka IQ high hota hai.

And kya aapko pata hai Barack Obama, Charles Darwin, Elvis Presley ye sab late night jagne ke liye mashoor hai and of course intelligent log late night jaag kar facebook, Youtube, ya Twitter scroll karte hue nahi jagte ye log raat me bhi kuch productive kaam karte hai ok woh ye kaam bhi nahi karte jo abhi aap ke dimag me aa raha hoga intelligent log iske alawa bhi jagte hai.

Intelligent Logo Ki Seventh Habit :-
Messy Desk.

Bikhri hui desk. Agar aap ki desk hamesha bikhri hui rehti hai ya uthal puthal rehti hai to scientist ke hisab se aap intelligent ho scientist kehte hai ki intelligent log apne desk ko saaf karne aur har chiz ko organize karne me apna dimag nahi lagate kyunki unke dimag me isse jyada important chize chal rahi hoti hai.

To dosto ye thi intelligent logo ki kuch hat ke 7 habit.( Seven Habits of Intelligent People )

Post a Comment

0 Comments