AdSense test ad

घर पर कैसे बनाएं एलो वेरा जेल | How To Make Aloe Vera Gel At Home | Hindi


Hello Friends
Swagat Hai Aapka Ek Baar Fir Hamare Knowledge Talks Official Blog Me.




Dosto aaj ki is article me janenge ki hum ghar par hi aasani se puri tarah naturally Aloe Vera Gel kaise banaya jaye.

Bazar me milne wali har company ke Aloe Vera Gel me kuch na kuch chemical aur artificial color hote hi hai aur sath hi sabse badi baat to yeh hai ki un sabhi gel me asli Aloe Vera ki matra kitni hai yeh hume kabhi bhi pata nahi chal pati kyun ki sirf gel to pani se bhi banaya ja sakta hai.

Ghar par bana hua Aloe Vera Gel har tarah se bazar me milne wale gel se behtar hota hai.
Agar aap apni face skin par pimple, sawale pan, daag dhabbe, ankho ke kale ghere aur jhurriyon ko dur karke nikhri aur bedag face skin pana chahte hai to ghar par bane Aloe Vera Gel se behtar aur kuch bhi nahi hai.

Iski sabse khas baat yeh hai ki taza Aloe Vera hone ki wajah se ye hamari face skin par kam time me hi zyada tezi se asar dikhata hai.

To Chaliye Jante Hai Isse Banana Kaise Hai:-

Isse Banane Ke Liye Hume Zaroorat Hogi.
1 Aloe Vera Ki Pattiya ( Aloe vera leaves )
2 Nariyal Tel ( Coconut oil )
3 Badam Tel ( Almond oil )
4 Vitamin-E Oil
5 Kesar ( Saffron )
6 Chandan Ka Tel ( Sandalwood oil )
7 Agar-Agar

Kesar aur chandan ka tel isme optional hai agar aap chahe to uske bina bhi aap tayar kar sakte hai lekin agar aap inka istemal karte hai to yeh dono hi chize is Aloe Vera Gel ko aur jyada asardar bana deti hai.

Aloe Vera Gel Banane Ke Liye.
Aloe Vera Ka plant aap ko kisi bhi plant nursery par kewal 40 se 50rs me hi aasani se mil jayega. Aloe Vera ke andar mojud gel ko bazar me milne wale gel me badlne ke liye hum isme agar-agar ka istemal kar rahe hai agar-agar bhi aap ko kisi bhi rashan ya supermarket me aasani se mil jayega iska istemal jyadatar khaye jane wali jelly aur jam adhi jaise chizo ko banane ke liye kiya jata hai.

Aur sath hi yeh powder,sgreat aur strips ke roop me bhi bazar me milta hai aap in teeno me se kisi bhi prakar ke agar-agar ka istemal kar sakte hai. Lekin agar aap ko yeh nahi milta hai to aap iski jagah gelatin ka bhi istemal kar sakte hai.

Isse Bhi Padhe:- अपनी त्वचा को घरेलु उपचार से गोरा कैसे करें? | How To White Skin Naturally And Permanently ? | Hindi


Step 1:-
Gel banane ke liye sabse pehle Aloe Vera ki pattiyo ko dho kar sukha le dhyan rahe ki dhoop me nahi sukhana pattiyo ke dhone ke baad pattiyo par lage pani ko sukhana hai aur fir pattiyo ke andar mojud gel ko nikal le gel nikalte time dhyan rahe isme pattiyo ka hara hissa kam se kam hona chahiye.

Step 2:-
Andar mojud gel ko nikal lene ke baad thode se pani ke sath mixture me chala kar iska patla juice tayar kar le juice ki matra 250ml honi chahiye kyun ki hum 250ml ke hisab se gel bana rahe hai.

Aloe Vera Gel banane ke liye agar kacche Aloe Vera ka istemal kiya jaye to yeh jaldi kharab ho jata hai isliye isse pakana zaroori hai.

Step 3:-
Isse pakane ke liye jis Aloe Vera juice ko aap ne tayar kiya hai ek bartan me nikal le aur gas ko kam aanch par chala kar 2 se 3 minutes tak garam kare.

Step 4:-
Thodi der garam ho jane ke baad iski aanch ko bada de aap dekhenge jaise hi is me ubaal aane lagega waise hi isme jhaank banna shuru ho jata hai bich bich me isse hilate hue jhaank ko nikalte rahe.

Step 5:-
1 se 2 minutes hone ke baad is me adha tablespoon agar-agar powder milaye aur isse kam aanch par tab tak chalaye tab tak ki agar-agar powder is me puri tarah pighal na jaye.

Step 6:-
Agar-Agar pighal jane ke baad is me ek chutki kesar daal kar gas ko band kar de aur isse thanda hone ke liye chord de.

Step 7:-
Thanda ho jane ke baad isse kisi dusre bartan me nikal le aur is me 3 chamach badam ka tel aur 3 chamach nariyal ka tel milaye uske baad 7 se 8 boond chandan ka tel daal kar 5 se 6 vitamin-e oil ki capsul tod kar uska oil dale.

Step 8:-
Iske baad sari chizo ko achi tarah se mix kar le aur isse puri tarah thanda hone ke liye chord de jaise jaise ye thanda hota jayega waise waise yeh gel me badalta jayega aur puri tarah thanda ho jane ke baad yeh bazar me milne wale gel ki tarah ban jayega.

Isse Bhi Padhe:- कैसे पाएं सॉफ्ट पिंक लिप्स स्वाभाविक रूप से घरेलू उपचार के साथ | How to Find Soft Pink Lips Naturally with Home Remedies | Hindi



Information:-
Is me batai gai sabhi chizo ki matra ek glass yani ki lagbhag 250ml Aloe Vera juice ke mutabik hai agar aap taze Aloe Vera se 250ml se thoda jyada ya kam juice banate hai to batai gai samagri matra ko us hisab kam ya jyada kar le.

Ise puri tarah bazar me milne wale gel ki tarah banane ke liye isme agar-agar ya gelatin ki matra ka dhyan rakhna sabse jyada zaroori hai kyun ki yahi is prakriya ka sabse important hissa hai 250ml juice ko gel me badlne ke liye humne adha tablespoon agar-agar ka istemal kiya hai agar aap rozana istemal me laye jane wali chamach ka istemal karte hai to isme ek puri chamach agar-agar ya gelatin milaye.

Iski matra me gadbadi hone se yeh tayar mishran smooth gel ki jagah sakht jelly me bhi badal sakta hai.

Kyun ki alag alag company ke gelatin aur agar agar ki quality bhi alag alag hoti hai jiski wajah se inke istemal ke baad parinaam bhi alag alag hote hai.

Kisi bhi gadbadi hone se bachne ke liye tayar Aloe Vera juice me agar-agar ya gelatin milane se pehle ise sirf pani ke sath mila kar iski sahi matra ka pata laga le.

For Example:-
Agar aap ek glass Aloe Vera juice ko gel me badalna chahte hai to pehle ek glass pani ko garam karke usme adha chamach agar-agar ya gelatin powder mila kar dekh le ki thanda hone ke baad kis tarah ka gel tayar ho raha hai agar gel jyada sakht banta hai to iski matra ko kam kar de agar gel jyada patla banta hai to iski matra ko bada de.

Is tarah se aap final mixture ke sath hone wali kisi bhi tarah ke mistake se bach sakenge. Lekin fir bhi agar-agar ya gelatin matra jyada ho jane par aap ka gel jyada sakht ho jata hai tab bhi isse istemal me laya ja sakta hai.

Iske liye tayar gel me thoda sa gulab jal mila kar isse mixture me chala kar iska patla paste bana le aisa karne se bhi yeh gel nahi rahega lekin mixture me chalane ki wajah se iski transparent puri tarah khatam ho jayegi bawajood iske yeh istemal karne aur face skin par lagane par bazar me milne wale gel ki tarah hi lagega aur face skin par achi tarah observe bhi ho jayega.

Is agar se dekha jaye to gel banane ki is prakriya me kisi bhi tarah ki galti ya gadbadi hone par kewal iske dikhne me fark aata hai baaki istemal karne aur asar me yeh ek jaisa hi rehta hai.

Is puri process me 10 se 15 minutes ka time lag sakta hai.
Ghar par bana yeh gel thand ke mausam me 30 se 40 din tak kharab nahi hota lekin garmiyo me isse freeze me rakhna zaroori hai.

Ache result ke liye raat ko sone se pehle is gel se apni face skin ko achi tarah se massage kare aur raat bhar isse apne chehre par hi laga rehne de.

Puri tarah natural hone ki wajah se isse hone wala asar aap ko 3 dino me hi dikhna shuru ho jayega face skin aur body skin ke sath sath iska istemal aap apne baalo ko smooth silky aur aur mota banane ke liye bhi kar sakte hai.


I believe ki aap ko samajh aa gaya hoga .
Isi ke sath me alwida leta hun fir milenge next topic par.

Shabba khair.

Post a Comment

0 Comments