AdSense test ad

How To Grow Beard Naturally At Home | Hindi


Hello Friends
Swagat Hai Aapka Ek Fir Hamare Knowledge Talks Official Blog Me.

How To Grow Beard Naturally At Home | Hindi

Jaankari:-

Dosto aaj kal har insaan lambi aur ghani daardi ( Beard ) chahta hai kyun ki kewal ek ghani daardi kisi insaan ki personality ko puri tarah badalne par capable hoti hai aur sath hi jyada tar log ghani daardi ki wajah se jyada self confident bhi feel karte hai.

Waise to daardi mard hone ki nishani hoti hai lekin iska kisi bhi insaan ki mardangi se koi sambandh nahi hota hai kyun ki chehre aur sharir par baalo ki growth kam ya jyada hone ke kai tarah ke kaaran ho sakte hai jisme ki Genetics, Dihydrotestosterone yani ki DHT yeh dono hi sabse main important role nibhate hai.

Kisi bhi insaan ke genetic ya zincs uske mata aur pita dono ke zinces se milkar bane hote hai aur inhi ki madad se ek insaan apna chehra, sharir ka aakar aur lambai, skin ka rang, aur baalo ki growth janam ke doran hi decide ho jati hai.

Iske alawa DHT hormone kisi bhi insaan me paye jaane wale mardo wale elements jaise ki sharir ke alag alag muscles ka aakar moti awaz chehre aur sharir par baalo ki growth ko prabhavit karte hai.

Chehre par baalo ki bahut dhimi growth ya fir patchy beard jisme ki kisi kisi jagah par jyada baal kisi kisi jagah par bahut kamm baal hote hai usse hum patchy beard kehte hai is tarah ki problem bahut jyada common ho gai hai jiski wajah se ek insaan apni daardi ko badhane me hesitation karta hai aur har time apne chehre par ek achi daardi ki kami ko humesha mehsoos karta hai.

Aaj ke is article me hum aap ko batayenge chehre par daardi ki growth ko tezi badhane me aur patchy beard ko khatam karne ke liye kuch bahut hi aasan aur asardar gharelu nuskhe jin ke rozana istemal se yeh aap ke chehre ki daardi aur mucho ko kam time me hi tezi se ghana banayega.

How To Grow Beard Naturally At Home:-

Sar ki baalo ki tarah chehre ke baalo ko bhi kam time me tezi se badhane ke liye hume multiple approaches yani ki ek se adhik upaye karne hi padte hai.

Iske liye is pure process ko hamne 3 hisso me divide kiya hai jisme sabse pehle me aap ko bataunga kuch chehre par lagane wale gharelu nuskhe jo ki bahari tarike se chehre ki skin me hair growth ko promote karenge.

Iske baad me aap ko bataunga kuch khane wale nuskho ki jiska sidha asar hamare testosterone  aur androgen hormones par hi hoga jisse ki baalo ki growth tezi badhna shuru ho jayegi.

Aur uske baad hum janenge kuch bahut hi important tips jo ki chehre ke baalo ko ghana banane ke liye dhyan rakhna bahut zaroori hai to chaliye baat karte hai pehle nuskhe ki.

1 Nuskha:-

Ise Banane Ke Liye Hume Zaroorat Hogi:-
1 Nariyal Ka Tel ( Coconut Oil )
2 Kadi Patta ( Curry Leaves )
3 Arandi Ka Tel ( Castor Oil )

Sharir me baalo ki growth ko badhane ke liye hamesha aise oil ka istemal karna chahiye jisme ki monounsaturated fatty acids ki matra adhik ho aise me arandi ka tel yani ki castor oil sabse behtar hota hai kyun ki iske andar 80% se 90% tak  ricinoleic acid paya jata hai jisse ki main taraf chehre par ruke hue baalo ki growth badhti hai aur sath hi daardi ke baal mote aur ghane bhi ho jate hai.

Isliye market me milne wale kai tarah ke beard oil ya daardi badhane wale serum castor oil ka istemal hota hi hai.

Step 1:-
Is nukhe ko banane ke liye sabse pehle 3 se 4 chamach nariyal ke tel ko yani ke coconut oil ko ek kadai ya fir pan me daal kar isse sabse dhimi aanch par 1 minute ke liye garam kar le.

Step 2:-
Fir iske baad tel bahut jyada garam hone se pehle hi isme 8 se 10 kadi patte yani ki curry leaves daal kar ise 2 se 3 minutes tak achi tarah chalaye.

Step 3:-
Uske baad jab kadi patte achi tarah fry ho jaye to gas ko band kar de aur isse thanda hone ke liye chord de.

Step 4:-
Thanda ho jane ke baad isme se kadi patta nikal le aur fir is tel me 3 se 4 chamach arandi ke tel ko milaye. Is tarah se yeh nuskha tayar ho jayega.

Nuskhe Ka Istemal:-

Is nuskhe ka istemal karne se pehle chehre par steam lena bahut zaroori hai aap saadhe pani ka steam le sakte hai lekin agar aap steam nahi le paate hai to chehre par garam paani me bhigoya hua kapda 5 minute ke liye chehre par rakh le. Aisa karne se chehre ke rom chidra khul jate hai aur fir is tel ka asar dugna ho jata hai.

Steam lene ke baad is tayar tel se apne chehre par us jagah par 10 se 15 minutes tak achi tarah malish kare jaha par aap ki baalo ki growth kam hai dhyan rahe pure chehre par tel ka istemal nahi karna kewal un jagaho par tel ka istemal karna hai jaha daardi aati hai.

Malish karte time dhyan rahe ki bahut zor zor se malish na kare kewal halke hath se hi malish kare malish karne ke baad isse 10 se 15 minutes tak is tel ko apne chehre par hi laga rehne de fir 10 se 15 minutes hone ke baad apne chehre ko saadhe pani se dho le.

Jab bhi baalo ko lamba aur ghana banane ki baat aati hai tab kadi patte ka istemal hota hi hai kadi patte ke andar anti oxidant aur amino acid bahut adhik matra me paye jate hai jo ki madad karte hai baalo ki growth ko badhane aur baalo ko mota karne me.

Is tayar tel ko adhik matra me bana kar freez ke andar 1 se 2 mahine ke liye store kar ke bhi rakha ja sakta hai iska laga tar 10 se 15 din tak istemal karne se aap apne baalo ki growth kafi acha fark mehsoos karenge.

Chehre ki patchy beard ko bharne aur kam time me hi ache results pane ke liye is nuskhe ke sath kuch khane wale nuskho ka bhi istemal kya jana chahiye taki chehre par baalo ki growth ko andooruni tariko se badhaya ja sake.

2 Nuskha:-

Iske liye sabse pehle hai kaunch ke beej kaunch ke beej ka istemal ayurveda me mardo se sambandhit kai tarah ke rogo ke liye purane time se kiya jata aa raha hai iska churan aap ko kisi bhi ayurvedic store ya fir patanjali ke store par aasani se mil jayega.

Mardo me androgen hormones main hormones hote hai hamari skin ki upari satah par androgen receptor paye jate hai jo ki chehre par baalo ki growth ko Continuous badhate rehte hai jin logo me androgen receptor ki matra kam hoti hai unke chehre par baalo ki growth bhi kam hoti hai aur jin logo me yeh jyada matra me hote hai unke chehre aur sharir par baal bahut adhik matra me paye jate hai.

Kaunch ke beej me L-Dopa naam ka amino acid bahut adhik matra me paya jata hai jo ki hamare sharir me testosterone level aur androgen receptor ki matra ko badhata hai jisse hamare chehre aur sharir par ugne wale baalo ki growth me tezi se increase hone lag jati hai.

Is kaunch ke beej ki khas baat yeh hai ki iska sabse jyada asar pure sharir me sirf chehre ke baalo par hi hota hai isi wajah se iska istemal kai tarah ke hair growth supplement yani ke baalo ko fir se ugane wali medicine me bhi istemal kiya jata hai.

Nuskhe Ka istemal:-

Kaunch ke beej ke powder ka istemal rozana subah sham ek chota chamach yani ki 4gm se 5gm khana khane ke 15 min ke baad gun gune dudh ke sath kiya jaa sakta hai.

Baalo ki achi growth ke sath yeh aap ki sharir ki taqat ko bhi badhata hai aur sath hi jin logo ko sexual weakness ya kamjori ki problem hai unke liye bhi yeh bahut jyada upyogi hai.

Iska ek mahine tak rozana istemal karte rehne par aap apne chehre ke baalo ki growth me kamaal ka fark mehsoos karenge.

Tips:-

Iske sath hi bhojan me jyada se jyada  iron aur zincs wali chizo ka istemal kare isme sabse jyada asardar hota hai palak aur tamatar ka juice palak ke andar iron adhik matra me paya jata hai sath hi tamatar me mojud vitamin-c madad karta hai sharir me iron ko puri tarah observe karane me.

In dono ko mila kar bana yeh juice hamare sharir ke liye bahut faydemand hota hai aur daardi ki growth ko tezi se badhane ke sath sath jin logo ko baal jhadne aur pakne ki samsya hai iske istemal se weh bhi hamesha ke liye khatam ho jati hai .

Agar aap ki daardi thik tarah se nahi ugti hai to bahut jyada zaroori hai aap usko baar baar shave ya fir trim na kare kyun ki hamesha jab sar ya chehre par baal ugte hai tab shuruaat me to weh patle hote hai lekin jaise jaise unki lambai badti jati hai waise waise weh mote hote jate hai.

Jin logo ke chehre par daardi thik tarah se nahi aati ya fir kuch kuch jagah par chuth jati hai aisi situation baal nahi aane wali jagah par agar aap dhyan se dekhenge to aap ko bahut patle patle baal zaroor nazar aayenge un patle baalo ko mota karne ke liye zaroori hai ki unhe thode time tak bina kaate lamba hone diya jaye.

Aisa karne se weh dheere dheere mote hona shuru ho jayenge aur khali jagah par tezi se bharne lagengi jo log apni daardi ko jyada padhne se pehle hi shave kar lete hai unki daardi me chuti hui khali jagah par baal aane me bahut time lagta hai.

Iske alawa agar aap ka wajan jyada hai to iska bhi daardi ki growth par asar padta hai isliye rozana work out kare aur apne badh rahe wajan ko control me rakhne ki koshish kare.

Hamare sharir me hormones sote time jyada active hote hai isi wajah se hormones ki kami hone par hamesha sone se pehle dawai lene ki salah di jati hai isliye bahut zaroori hai ki rozana kam se kam 6 se 8 ghante ki nind zaroor li jaye. Kyunki agar aap ke baalo ki growth kam hai aur aksar aap ki nind adhuri rehti hai to sharir par kisi bhi tarah ke nuskho ya ilaj ka asar bahut dhimi gati se hota hai aur ache results paane me bahut adhik time lag jata hai.

Chehre ke baal bina ruke har jagah par samaan matra par badhte jaye uske liye bahut zaroori hai ki hum apne chehre aur skin ko saaf sutra rakhe aur sath hi time time par skin exfoliation bhi karte rahe iske liye aap kisi bhi herbal company ya fir jo bhi aap ke chehre par suit hota ho us brand ka scrub use kar sakte hai. Scrub karne se hamare face skin par jama dust skin remove hoti rehti hai aur skin ke blood circulation me bhi badhotri hoti hai jisse ki baalo ki growth tezi se badhne lagti hai lekin scrub ka istemal hafte me kewal 3 baar hi kare usse jyada naa kare.

Aksar yeh dekha gaya hai ki jo log gym jate hai ya fir apni sharirik shakti ko badhane ke liye work out ya kasrat karte hai un logo me baalo ki growth hamesha jyada hi hoti hai aur kai baar to weh apne baalo ki growth se pareshan bhi nazar aate hai kyun ki jab hum sharirik mehnat karte hai to time ke sath sath sath hamare taqat bhi badhti rehti hai jisse hamare sharir me paye jane wale sabhi tarah ke male hormones active ho jate hai isliye ghani daardi aur achi growth ke liye rozana kam se kam 1 ghata zaroor work out kare.

I believe ki aap logo ko samajh aa gaya hoga isi ke sath me alwida leta hun fir milenge next topic par.

Shabba Khair


Post a Comment

0 Comments