AdSense test ad

How To Earn Money From YouTube. | Hindi


Hello Friends
Swagat Hai Aapka Ek Baar Fir Hamare Knowledge Talks Official Blog Me.



Is article me aap ko batane wala hun ki kaise aap bhi ek successful Youtuber ek safal Youtuber ban sakte hai.

Kaise Youtube ki duniya me aap apna naam aur apni pehchan bana sakte hai kaise Youtube channel ke zariye paise kama sakte hai ( How To Earn Money YouTube ).?

Dosto Pehle Jaan Lete Hai YouTube Facts Ke Baare Me:-

Kya aapko pata hai jo yeh YouTube hai wo Google ke baad duniya ka sabse bada search engine hai world ka second largest search engine hai.

600 crore ghanto ka video content har mahine YouTube par upload hota hai.
25 crore to india me hai. Jo YouTube users every month har mahine 25 crore log india me video dekhte hai.

So india digital ho raha hai gaon gaon me mobile pahuch gaye gaon gaon me internet pahuch rahi hai Rajan Anandan jo Google southeast Asia ke vice president hai unka kehna hai ki 2020 tak yani ki 2 saal baad india me 65 crore internet users honge jisme se 50 crore log videos ke form me internet par content dekhenge videos dekhne wale 50 crore log honge.

So scope bahut hai potensial bahut hai aur agar aap bhi is badte hue india me is digital india ke part banna chahte ho to to yeh article aap ke liye hai.

Is article me hum woh sab nahi batane wale ki kaise YouTube channel banta hai kya setting karni padti hai uske baad yaha jao waha jao is par click karo ye sari chize aap ko kahi se bhi mil jayengi.

Me woh bate share karne wale hu jo shayad aap ko kahi aur nahi milegi isliye yahi purpose hai is article ko likhne ka. Jo sabse pehle jo sabse important chiz hai woh hai content.

Isse Bhi Padhe:- एफिलिएट मार्केटिंग क्या होती है और एफिलिएट मार्केटिंग से पैसे कैसे कमाए


Content:-

Jo aap ke question hote hai videos ka topic kya hona chahiye videos me kya zaroor hona chahiye kya nahi hona chahiye in baato ka aap ko dhyan rakhna hai videos banate time.

1 Topic:-
Agar topic ki baat kare to aap ki videos aap ke channel ka topic hai woh wo hona chahiye jisme aap ko interest ho jiske liye aap passion ho jiske liye aap curious ho tabhi aap logo ko bhi us baato interesting tarike se samjha paoge.

Jo data meri research me se nikla  hai uske hisab se internet pe aaj ki date me jo top 5 categories hai woh hai.
1 Music Videos
2 Comedy Videos
3 Technical Videos
4 Educational Videos
5 Gamings Videos

Agar in me se aap ko kisi topic me interest hai to aap usi me videos banao agar in ke bahar kisi category me interest hai to aap usme videos banao jisme aap ka interest hai jiske liye aap passion ho jisko aap best kar sakte ho Topic choose ho gaya.
Ek aur question hai jo aap log sochte honge ki video ki language konsi honi chahiye.

2 Language:-
Bahut se logo ke mann me shaq hota hai ki hum videos kis language me banaye hindi me banaye ya regional language me banaye.

To aap ke sath again ek aur fact rakh raha hu ki india me sirf 20% log english me proficient hai only 20% aur jo baaki ke 90% se jyada jo videos india me dekhi jati hai woh english me nahi hai woh hindi me hai woh regional languages me hai woh tamil me hai woh kanada me hai woh punjabi me hai.

Infect YouTube par hi nahi ki aap ko pata hai india ki jo newspapers hai usme bhi jo top subscribe newspapers hai woh bhi hindi me hai.

So aap yeh soch sakte ho ki aap kis language me jana chahte ho kis language me proficient ho english zaroori nahi hai ulta jyada scope hindi me aur regional languages me hai.

Content me teesri baat bahut important baat bahut sare YouTubers yeh galti kar jate hai isliye woh us level tak nahi pahuch pate.

3 Purpose:-
Aap ko ek aur question khud se puchna hai ki kya yeh meri video us purpose ko achieve kar rahi hai jis wajah se log is video me aaye hai jo bol ke aap ne logo ko video me bulaya hai.

Kya us purpose ko achieve kar pa rahe ho agar engaging hai par purpose pura nahi ho raha aap ne logo ko baandh to liya par jo dena chahte hai woh unko mila nahi to next time woh aap ki videos nahi dekhenge kahenge ki yeh woh nahi deta jo yeh kehta hai.

To purpose achieve karna bahut zaroori hai agar hasana chahte ho hasane ke liye videos banaiye to kya logo ko hasi aa rahi hai rulana chahte ho emotional videos banaiye emotional involve karna chahte ho to kya log ro rahe hai kya uske sath jud rahe hai sikhana chahte ho to kya log sikh rahe hai.
To yeh sab baate aap logo ko dhyan me rakhni hai apne content me.

Isse Bhi Padhe:-5 तरीको से आप ऑनलाइन पैसे कमा सकते हो | Top 5 ways to Earn Money Online

Resources:-

Kon se aise resources hai jo videos banane ke liye aap ko chahiye.
Ek chiz jo me bahut baar sunta hu aap bhi shayad bolte hoge ki sunte hoge.
1 Youtuber banne ke liye mehnga camera chahiye.
2 Yaar mere ko to editing software chalana nahi aate.
3 Yaar yeh lighting wagera to bahut mehngi hoti hogi.
4 Pehle camera chalana sikh leta hu.

Aap na ek kaam karna kisi ki bhi kisi bhi channel par jakar uski first video utha kar dekh lo aap ko answer mil jayega.

For Example:-
Bhuvan Bam 1 crore 26 lakh subscribers aap inki first video utha kar dekh lo woh apne phone se videos banate the aur aaj tak woh apne phone se videos banate hai unhone wait nahi kara ki badiya sa mark2 mark3 DSLR lunga tab video banaunga aisa nahi kya unhone bas laga apna talent laga diya duniya kya soche kya nahi bas kaam karte rahe.

Yaar hum log to indian hai bhartiya hai hamari sabse badiya baat kya hai hamari sabse badiya baat hai Jugaad hume sari chizo ka jugaad karna aata hai aur hamesha aana chahiye.

Wait nahi karni lighting ka issue hai thermocol ke upar foil lagao dusri taraf se sun light aa rahi hai light reflect kar rahi hai ho gai lighting.

Itne sare to free editing software available hai edit karna shuru karo ek hi resource chahiye baaki har chiz ka jugaad ho jayega wait mat karo ek resource jo aap ko chahiye na woh hai chah junoon hona chahiye passion hona chahiye kuch karne ki iccha honi chahiye ek resource agar ye iccha aap ke pass hai naa to shuruaat kar do results milte jayenge.

Consistency:-

Bahut baar ek galti bahut sare YouTubers karte hai ki woh videos dalte hai 3,4,5 videos daali uske baad haar jate hai. Ki chordo yaar meri bas ki baat nahi hai.

Superwoman ki pehli video pe sirf 70 views aaye the lekin woh consistency videos dalti thi har kisi YouTuber ki story padh lo shuru me kuch nahi hota na views aate hai na comment na subscribers badte hai but woh consistency ke sath karte rahe ho videos dalte raho likes aur views nahi aa rahe sikho improve karne ki koshish karo dekho ki kya aur improve kya ja sakta hai.

Logo se pucho yaar positive chord tu negative bata kaha par me galti kar raha hu kaha mujhe improve karna chahiye feedback lo lekin consistence raho 3,4,5 videos daal ke haar mat mano.

Woh dialogue hai na.
"Itni Shiddat Se Maine Tumhe Paane Ki Koshish Ki Hai,
 Ke Har Zarre Ne Mujhe Tumse Milane Ki Saazish Ki Hai,
 Kehte Hai Ki..
 Agar Kisi Cheez Ko Dil Se Chaho..
To Puri Kainaat Usey Tumse Milane Ki Koshish Mein Lag Jati Hai" ( Om Shanti Om )
Videos daal daal ke sikh sikh ke aap ka channel grow karta chala jayega aapko results milte jayenge.

Isse Bhi Padhe:-फ्रीलांसर से घर बैठे पैसे कैसे कमाए | How To Earn Money With Freelancer | Hindi

Money:-

Money monetization kaise videos ke jariye kama sakte hai ( How To Earn Money From YouTube ) ek chiz me aap ko zaroor kehna chahunga ki agar YouTuber banne ke piche YouTube channel banane ke piche aap ka purpose sirf paisa kamana hai only money making objective to shayad yeh sahi decision nahi hai.

Paisa kamana aap ka main purpose nahi hona chahiye main purpose hona chahiye apna talent apni skills apna art logo ko dikhana.

But yes paisa important hai 2nd number par aap paise ko rakh sakte ho but 1st number par nahi money is important woh aayegi tabhi aap grow kar paoge tabhi aap apne resources ko ke sath jod paoge tabhi aap software le paoge ek team le paoge office bana paoge har chiz me paisa involve hai paisa zaroori hai.

But prime purpose 1st purpose paisa kamana nahi hona chahiye. Aap focus karo apni skills par art par apne channel par mehnat karo aap ka channel grow karega to khud ba khud paise aayenge.

Aisa nahi ki aap ne YouTube par channel bana liye aur agle din aapko money milna start ho jaye YouTube ke bhi kuch condition hoti hai aap ko 12 month ke andar 1k subscribe hone chahiye 400hr hone chahiye tab jaa kar aap ki  monetization open hogi tab jakar aap ko dheere dheere earn hona start hoga.

I believe ki aap logo ko samajh aa gaya hoga ki YouTube par career kaise start karna hai aur paise kab earn hota start hote hai.

Isi ke sath alwida leta hun fir milenge next topic par.

Shabba Khair.

Post a Comment

0 Comments